GAZAL OF HAZRAT ISHQ PAAK(RA)
1.
Chashme me khalq ke gomisle hubab aata hu
Ain dariya hu haqiqat me baha jata hu
Kaif kam mere jo hai mouje hubabe dariya
Mujhi se uthte hai or mai hi baha jata hu
2.
Hu bahu yaar ke sache me dhala jata hu
Rafta rafta teri tasveer hua jata hu
Dost hai dost ka rahzan ye tamasha kya hai
Ishq hu ishq ki rahon me luta jata hu
3.
khuun ka qatra nahin hai chashm-e-giryan ab talak
uzv saare jal gae par dil hai bariyan ab talak
so zaban ho misl-e-shana maazarat ki mu-ba-mu
saf-dil hoti nahin vo zulf-e-pechan ab talak
kahiyo ai qasid payam us ko ki tere hijr se
jan-ba-lab pahuncha nahin aata hai tu yaan ab talak
sun ke na-ḳhush ho kaha nisbat thi mujh se ishaq ki
so ye ab maalum hui tis par hai nazan ab talak
ishq ka daava kiya aur hijr men jiita raha
phiir to shaki hai ham se kahiyo nadan ab talak
4.
Chehra pe jo tere nazar kar gaya
jaan se vo apnī guzar kar gaya
jis ki taraf se tiri ankhen phirin
ashk ke manind safar kar gaya
munh ko dekha apne vo ḳhurshidru
sham-e-ghariban ko sahar kar gaya
us ko nikale koi kis taur se
tir-e-mizha siine men ghar kar gaya
ruḳhsat ma uud thi hichki na thi
chalte hue dam ye ḳhabar kar gaya
jo koi bai Tha tire kuche men aa
uth na saka yaaro vo mar kar gaya
jis ki nazar 'ishq' ke uupar padi
chashm ke taiin apni vo tar kar gaya